Bol Daal – Bindi The First – lyrics
Hey bro!
Please find the lyrics below. Please let me know if you need anything further.
It’s Bindi
mann me jo aye ab bol de
ye hi ab mauka hai tu dil khol de
sun naa kisiki tera waqt hai
darr nahi kisika ye to saare bass dikhaave ke sakht hai
1st verse: (0:19)
Dil me jab hai sach basa zabaan pe lagaam kyu?/
Banta jyada shaana tu to jo bhi bole maan lu?/
sidhi naa me bandi, tu sambhal zara dhalaan hu/
Paana mujhko aata hai vo jab me kuch thaan lu/
Chahe jitni mushkilo ko paar karna pade/
Sapna dekh hi liya to ab kya haalat dekh/
Kaam pe tu lagg jaa, bacha hi kya hayaat me/
Laaya hai jo iss raaste pe kaaynaat ne/
Lafzon me takat hai/
Jatau to aafat hai/
ye kya inka naatak hai/
satya ki ladhai hi qayamat hai/
mushkil sawaal puch lo/
toh ye aapki adaalat hai/
galat naa tu dekh, sun, bol, soch/
par agar tu dekh ke b naa aavaj uthaay to teri zamaanat hai/
Chorus: (0:59)
Bol daal bol daal
jo dil me aaye bol daal
baat ko samajh zara
agar naa aaye to utha savaal
haath ki lakeeroo me
likha hai jo vo hona hai
chaar din ki zindagi
kya paana aur kya khona hai
Post chorus: (1:19)
Bol daal bol daal jo dil me aaye bol daal/
Samaaj ke niyam na zara maano to macha bavaal/
jo jaise hota aaya hai vese hi hona chahiye/
agar tu himmat kar bhi le, tujhe hi hone hai halaal/
Maan li ye mene inki baate itne saalo tak/
ab nahi ho payega, maano ya maano mat/
individuality ki maar ke rakhi hai yaha/
itna jaan lo ki me vo karu jo me chaahu bass/
2nd verse: (1:39)
naa diya bhagvaan ne itna kuch jyada par/
diye maap baap, mene unse kiya vada/
galat naa karu kabhi, sikhi maryaada/
kisika naa leti khota rupiya, naa aadha/
khudka hi banaya hai ye saara mehnat se/
din raat jaag kar, dua aur rehmat se/
imaandari ke raaste pe chal kar/
paaya hai ye sab, dekhta kya hairat me/
sikhi kaafi cheeze iss lambe safar par/
mann me ye kholkhle, dikhaave ka hi nach hai/
bholi bhaali ho shakal andar se sab saap hai/
jhuth inka pakda jaaye tab ye chupchaap hai/
khud pe jab tak beete naa insaaf ke khilaaf hai/
kisine kuch kiya, hit hua, saare chapte/
fir karo gunaah to rakha kya hai pashtataap me/
haar kar khade hue jo dum hai unki baat me/
Chorus: (2:19)
Bol daal bol daal
jo dil me aaye bol daal
baat ko samajh zara
agar naa aaye to utha savaal
haath ki lakeeroo me
likha hai jo vo hona hai
chaar din ki zindagi
kya paana aur kya khona hai
Post chorus: (2:39)
Bol daal bol daal jo dil me aaye bol daal/
Samaaj ke niyam na zara maano to macha bavaal/
jo jaise hota aaya hai vese hi hona chahiye/
agar tu himmat kar bhi le, tujhe hi hone hai halaal/
Maan li ye mene inki baate itne saalo tak/
ab nahi ho payega, maano ya maano mat/
individuality ki maar ke rakhi hai yaha/
itna jaan lo ki me vo karu jo me chaahu bass/
3rd verse: (2:59)
samajh naa aaye inhe to ye bole wack/
shabdo aur vichaar ko ye kar naa paye match/
aur kuch naa aaye inhe to ye bole trash/ khud
bolna naa sikha aur sikhaane aaye rap/
khudki insecurity naa dusro pe daal/
bachkaani harkate kare bemisaal/
saare log aur unki amma bhi comments me sher hai/
saamne jo dikh jaaye, fir to saale lame hai/
Outro: (3:21)
haath ki lakeero me
likha ho chaahe jo b ab
khud se hi likhni hai
ab to khudki kismat